Pages

Tuesday, July 12, 2011

Naat Mujhe bhi MADEENAY bula mere MAULA

*** Mujhe bhi MADEENAY bula mere MAULA ***

Mujhe bhi MADEENAY bula mere MAULA, karam ki tajjali dekha mere MAULA
bahot be qarari ke Aalim mein hoon main, meri be qarari mitta mere maula

Yaqin hai MADEENA karam karam hi karam hai, tu rakhta jahan mein sabhi ka bharam hai
tujhe wasta tere piyare NABHI(SAW) ka meri ab to bighri bana mere MAULA
tujhe wasta tere piyare NABHI(SAW) ka meri ab to bighri bana mere MAULA
Mujhe bhi MADEENAY bula mere MAULA, karam ki tajjali dekha mere MAULA

ye dono jahan tere zair-e-asar hain, jo tujh ko na many barey be khabar hain....
nahi jantey jo bhi tere ghazab ko unhein ghaflatoon se jaga mere maula
Mujhe bhi MADEENAY bula mere MAULA, karam ki tajjali dekha mere MAULA

jisse tu ne chaha me uss pe fida hoon, main tere MUHAMMAD (saw) ke darr ka gada hoon
tujhe wasta karbala ki zameen ka mujhe har bala se bacha mere maula....
Mujhe bhi MADEENAY bula mere MAULA, karam ki tajjali dekha mere MAULA

shafa'at ka wadda kiya tu ne jiss se , gunaahghar umeed rakhtey hain uss se...
shifarish karein tujh se ummat ki AAQA(saw) tu karna sabhi ka bhala mere MAULA....
Mujhe bhi MADEENAY bula mere MAULA, karam ki tajjali dekha mere MAULA

MUHAMMAD(saw) ko tu ne jo QURAAN diya hai, karoroo diloo mein mukamal chupa hai.........
aye QURAAN ke khaliq guzarish hai tujh se, mere dil mein QURAAN basa mere MAULA
Mujhe bhi MADEENAY bula mere MAULA, karam ki tajjali dekha mere MAULA

meri mushkalein ghar tera imtehaan hain, tu har gham qasam se khushi ka sama hai...
gunahoo ki mere agar ye saza hai, tu phir mushkiloo ko ghata mere MAULA..
Mujhe bhi MADEENAY bula mere MAULA, karam ki tajjali dekha mere MAULA

yahan pal mein badle huay log paaye, yahan pal mein apne bhi dekhey paraaye...
tujhe to hamare diloon ki khabar hai, karein tujh se kis ka gilla mere MAULA
Mujhe bhi MADEENAY bula mere MAULA, karam ki tajjali dekha mere MAULA

nighahoon se pinha kyu manzil meri hai, kyu manjhdaar mein naao meri phasi hai....
khataaoon ka maara bhi paa le ga sahil, ghar Abid ke dil mein sama mere Maula
Mujhe bhi MADEENAY bula mere MAULA, karam ki tajjali dekha mere MAULA
bahot be qarari ke Aalim mein hoon main, meri be qarari mitta mere maula
Mujhe bhi MADEENAY bula mere MAULA, karam ki tajjali dekha mere MAULA.....

No comments:

Post a Comment