Pages

Monday, September 05, 2011

1307~*Yeh teri kaynaat*~Pak Old...

 
1307~*Yeh teri kaynaat*~Pak Old...
Koi shey thari naheen ek muqaam par
Yeh teri kaynaat k kiya silsaley se hain
Jachta naheen nazar main koi ab terey bagair
Janey terey piyar k yeh kiya raabtey se hain
Main to terey khayal k mehbs main band houn
Lekin hawaey shoq k kuch zawiye se hain
Dayem rahey gi yaad teri kaynaat main
Baki to natamaam yeh sab asarey se hain
Aey gardesh_e_midam thair,sochne to dey
Kitney rah hayat main ab marhaley se hain
Yeh soch kar raat ka anjaam hay kareen
Ab jaan ley k subah main kuch saniye se hain
Main ne samjh liya hay teri bazm ka mezaj
Kuch bathney k zaabtey aur qaeydey se hain
__._,_.___
 

No comments:

Post a Comment