Pages

Monday, September 12, 2011

1309~*Majbori K Mousam Main*~Pak Old...

 
1309~*Majbori K Mousam Main*~Pak Old...
Majburi  k mousam main bhi jina parta hay
Thora sa samjhota janam karna parta hay
 
Kabhi kabhi is had tak bhar jati hay lachari
Lagta hay yeh jewan jasey bojh ho koy bhari
Dil kehta hay royein lekin hansna parta hay
 
Kabhi kabhi itni dhundhali ho jati hain tasverain
Pata naheen chalta qadmon main kitni hain zangirain
Paoun bandhy hoty hain phir bhi chalna parta hay
 
Ruth k jane wala badal tuutne wala tara
Kis ko khabar in lamhon main ban jaye koun sahara
Dunya jasi bhi ho rishta rakhna parta hay!!!
__._,_.___
 

No comments:

Post a Comment