Pages

Monday, April 25, 2011

1226~*Dewangi Apni*~Pak Old...

 
1226~*Dewangi Apni*~Pak Old...
Tumari anjuman se uth k dewane kahan jatey
Jo wabasta huwe tum se woh afsane kahan jatey
Nikal kar dair wa kahba se agar milta na mahkhana
To thukraye huwe insaan KHUDA jane kahan jatey
Tumari berukhi ne laaj rakh li badakhane ki
Tum aankhon se pila detey to pahmane kahan jatey
Chalo acha huwa kaam aa gai dewangi apni
Wagarna ham zamane bhar ko samjhane kahan jatey
"Qateel"apna muqader gham se begana agar hota
To phir apne paraye ham se pahchane kahan jatey
~@~@~R*u*k*h*s*a*n*a~@~@~
__._,_.___
 

No comments:

Post a Comment