1268~*Hasartoon Ka Dhunwaan*~Pak Old...

Har ek moord pe pahla hay
Hasartoon ka dhunwaan
Na koi rah nazar ati
Na manzeloon k nishaan
Jo ham guzaar rahey hain
Woh zindagi to naheen
Jeyeen to kis k liye
Koi aas bhi to naheeen
Bare khalos se ham ne freeb khaey hain
Qadam qadam pe hazaroon setam uthaye hain
Yeh dard apne liye koi ajnabi to naheen
Dil_e_pareshan pe jab hadsey guzarte hain
Ham apne aap se aksar sawal karte hain
Hamare naam se khushiyoon ko dushmani to naheen

__._,_.___
No comments:
Post a Comment