Suno piyaray...!
Mujhe maalom hai aasaan lagta hai
Tumhain raahain badal lena
Koi bhi moor murr jaana
Kisi manzil ko thokar maar ker waapis chalay aana
Ya manzil ko faqat ik junbish-e-lab se
Bohat nazdeek lay aana
Mujhe maaloom ha piyaray
Bohat aasan ha tum ko waapis palat jaana
Meri tum be basi dekho
Mujhe tum se muhabbat k siwa kuch nahi aata
Mager iss main bhi kab koi qareena seekh paai main
Ye dekho aankh rona chahti hai
Phir bhi banjar hai
Ye dekho haath kitnay sard hain meray
Ye dekho dil ki dharkan kis terah tarteeb kho ker doobnay ko hai
Ye dekho mera aanchal meray haathon se phisal ker urr gaya kab se
Ye dekho saans ki dori bhi mujh se chootnay ko hai
Meray ehsaas ka resham ulajh ker tootnay ko hai
Mujhe to ye huner bilkul nahi aata
Keh kaisay apnay zakhmon ko chupaatay hain ?
Ya kaisay dard ko dermaan banaatay hain?
Ya kaisay rooth'ti saanson ka daaman
thaam ker waapis bulaatay hain ?
Bohat be khwaab aur weeraan mausam main
khafa neendon ko kia keh ker mnaatay hain ?
Mujhe ye hunar bilkul nahi aata
Keh kaisay apnay merr jaanay pe nohay aap kertay hain ?
Ya apnay he galay lag ker dilaasa kaisay bantay hain ?
Phir apni he laash ko kaisay....
Kisi payaab deryya....
Ya kisi ki adh bujhi taaza chitaa main jhonk detay hain ?
Ya phir aakaash k neechey khula he chorr detay hain ?
Mujhe to ye hunar bilkul nahi aata....
keh kaisay zard mausam main....
Kisi bhi sard aur be dard mausam main
khushi ka aik bhi ghuncha .....
Bhala kaisay khilaatay hain ?
Ya kaisay aadhay raastay se gharon ko lout jatay hain?
Mujhe bilkul nahi aata...
Mujhe tum se muhabbat k siwa....
mager wo bhi kahan aai
Koi ...huner...bilkul. .. .nahi....Aata !!!!
Regard's
No comments:
Post a Comment