Pages

Wednesday, June 01, 2011

Siddique-e-Akbar Radhi Allaho Anhu

 
Bismillah ir Rahmaan al Raheem

Nahmaduhu wa nusalli wa nusallimu 'ala Rasulihil Kareem
Sall Allahu 'alaihi wa Aalihi wasallam

Bayaan ho kis zabaan se martabah Siddiq e Akbar ka,
Hai Yaar e ghaar Mahbub e Khuda Siddiq e Akbar ka.
(radi Allahu Ta'ala 'anhu)
Yaa Ilaahi raham farmaa Khaadim e Siddiq e Akbar houn,
Teri rahmat ke sadqe waasitah Siddiq e Akbar ka.
(radi Allahu Ta'ala 'anhu)
Rusul o Ambiyaa ke ba'ad jo afzal hai 'aalam se,
Yeh 'aalam mein hai kis ka martabah Siddiq e Akbar ka.
(radi Allahu Ta'ala 'anhu)
Gadaa Siddiq e Akbar ka khudaa se fazl paataa hai
Khudaa ke fazl se houn main gadaa Siddiq e Akbar ka.
(radi Allahu Ta'ala 'anhu)
Nabi ka aur khudaa ka madh go Siddiq e Akbar hai,
Nabi Siddiq e Akbar ka Khudaa Siddiq e Akbar ka.
(radi Allahu Ta'ala 'anhu)
Zia mein mehr 'aalamtaab ka yun naam kab hota,
Nah hota naam gar wajh e zia Siddiq e Akbar ka.
(radi Allahu Ta'ala 'anhu)
Zae'efi mein yeh quwwat hai zae'efoun ko qawe kar dein,
Saharaa lein zae'ef o aqwiyaa Siddiq e Akbar ka.
(radi Allahu Ta'ala 'anhu)
Khudaa ikraam farmaataa hai atqaa keh kar Quran mein,
Karein phir kyun nah ikraam atqiyaa Siddiq e Akbar ka.
(radi Allahu Ta'ala 'anhu)
Safaa wuh kuch mili khaak sar koo e payambar se,
Musaffaa aainah hai naqsh e paa Siddiq e akbar ka.
(radi Allahu Ta'ala 'anhu)
Hue Faruq o Usmaan o 'Ali jab daakhil e bay'at,
Banaa fakhr e salaasil silsilah Siddiq e Akbar ka.
(radi Allahu Ta'ala 'anhum)
Maqaam e khawaab e raahat chain se aaraam karne ko,
Banaa pehlu e Mehbub e Khudaa Siddiq e Akbar ka.
(radi Allahu Ta'ala 'anhu)
'Ali hain us ke dushman aur wuh dushman 'Ali ka hai,
Jo dushman 'aql ka dushman hua Siddiq e Akbar ka.
(radi Allahu Ta'ala 'anhumaa)
Lutaayaa raah e Haq main ghar kaie baar is mahabbat se,
Keh lut lut kar Hasan ghar ban gayaa Siddiq e Akbar ka.
(radi Allahu Ta'ala 'anhumaa)

No comments:

Post a Comment